kya aap jante hai ki google apne device me google search ko defalt rakhne ke liye apple ko karoro deta hai . yah har sal aisa karti hai is bar bhi aisa hi kiya
khbar mili hai ki google 2021 ke liye apple ko 15 bilion dollar de sakta hai jabki pichle sal yah 10 bilion dollor tha to isse yah pata chalta hai ki 5 bilion dollor charge badh gaya hai
ab app soch rahe hoge ki google apple ko paise kyo deta hai kyoki apple world me top mobile company hai , aur apple apne har device jaise ki - iphone , mak ,aur ipad defalt sarch engine ki tarah google ko rakhta hai
to agar app apple ki devices me safari browser use karte hai aur kuch sarch karna chahte hai to yah google ke jariye hi kiya jata hai , ye bhi paisa dene ka ek reason hai
apple ke charge badhne se yah bhi socha ja raha hai ki abhi tak yah 15 bilion dollar ho chuka hai aur sayad age aur badh jaye
iski wajah se apple ki alochna bhi ho rahi hai kyoki company privacy ke liye bahot bate karti hai aur search engine ke jaise google ko rakhne par uski privacy par kafhi bate ho sakti hai
is par apple ne kaha hai ki ki halaki google bahot popular search engine hai aur apple google ko support karta hai lekin apple ke pas duk duk go hai jo ki ek search engine hai jo ki kaphi sequre aur private hai
aur is deel ke jariye google aur apple dono ko profit hai kyoki apple ko google se accha khasa paisa milta hai aur google ko adhik se adhik users milte hai aur is tarah jayada user deta aur add se company adhik income karti hai
0 Comments